Bait Bazi - March 2014

Re: Bait Bazi - March 2014

**Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon.. *
*

hey/noon

Re: Bait Bazi - March 2014

Hath mein le ke mera hath yeh vaada karo,
Ab na chorro ge mera sath yeh vaada karo..

kaaf/wao

Re: Bait Bazi - March 2014

***Kya sunaatey ho ke hai hijar mein jeena mushkil,
Tum se bereham pe marney se to asaan ho ga..


gaaf/alif

Re: Bait Bazi - March 2014

Ab zara tafseel se aye qaasid*-e-khush’ruu bata,
Pehle us ne kya kaha, phir kya kaha, phir kya kaha..

kaaf.alif

Re: Bait Bazi - March 2014

Aao cherrain milaap ke qissay,
Baat kartey ho kyun judaayi ki.

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - March 2014

Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi
Gaey dinon mein boht ba kamal thy hum bhi.

bhy/yi

Re: Bait Bazi - March 2014

**Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah,
Galay mein daal ke sab taweez dekhey hain.. *
*

hey/noon

Re: Bait Bazi - March 2014

**hain ghar kii muhaafiz merii dahakii huii aankhein
main taaq mein rakh aayaa huun jalatii huii aankhein

alif/noon**

Re: Bait Bazi - March 2014

Nahin ishq ka dard lazzat se khaali,
Jisay zauq hai woh maza jaanta hai..

hey/ye

Re: Bait Bazi - March 2014

**ye kahaaN kii dostii hai ke bane haiN dost naaseh
koii chaarasaaz hotaa koii Ghum gusaar hotaa

hey/alif**

Re: Bait Bazi - March 2014

hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha

te/alif

Re: Bait Bazi - March 2014

**tuu kahaaN thii ai ajal ai naamuraadoN kii muraad
marane waale raah terii umr bhar dekhaa kiye

kaaf/ye**

Re: Bait Bazi - March 2014

kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun
wo bhi kya din the ke har vaham yaqin hota tha
ab haqiqat nazar aaye to use kya samajhun

seen/noon

Re: Bait Bazi - March 2014

Sazaa ban jaati hain guzre huye waqt ki yaadein,
Janey kyun log matlab ke liye meherbaan hote hain

hey/noon

Re: Bait Bazi - March 2014

**Hum intazaar karenge teraa qayaamat tak
Khudaa kare ki qayaamat ho aur tuu aaye

Alif/ye**

Re: Bait Bazi - March 2014

Yoon lag raha hai jese abhi laut aaye ga,
Jaatey huye chiraagh bhujaa kar nahin geya.

gaaf/alif