Bait Bazi -June 2014

Re: Bait Bazi -June 2014

*na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa *
**Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa main to kyaa hotaa

hey/alif**

Re: Bait Bazi -June 2014

Aik Awara badal say keon main nay sayya manga tha
mairi bhi yah nadaani thi uss key bhi Majboori

Ray/yay

Re: Bait Bazi -June 2014

*ye dhundalakaa saa jo hai us ko Ganiimat jaano *
**dekhanaa phir koii suurat na sujhaaii degii

daal/ye**

Re: Bait Bazi -June 2014

dhunbdlay say yaad aaya

Dhundla rahe hain shehr kay jalte howe chirag
Aey neend aa bhi ja kay boht raat ho chuki

chay/yah

Re: Bait Bazi -June 2014

***Yoon tassali de rahe hain hum dil-e-beemar ko,
Jiss tarah thaamey koi girti hui deewaar ko..

kaaf/wao***

Re: Bait Bazi -June 2014

**Wahshat kay sath dashat mairi jaan chahiye
is aish kay liye sar-o-saman Chahiyee

chay/yay**

Re: Bait Bazi -June 2014

ye ehataraam-e-junuun hai ki sii liyaa daaman
**vagarnaa ek tamaashaa-saa kuu-ba-kuu karate

kaaf/ye**

Re: Bait Bazi -June 2014

**yah Ilam-o-Hikmat key muhra baazi, yah bahas-o-takraar key numaish
naheen hay dunya ko aab gawara puranay afkaar key Numaish

Noon/Sheen**

Re: Bait Bazi -June 2014

na zameen hai meri qrar gah,na falak he manzil jazb-o-dil
barri mudaton se safar mera teri yad se teri yad tak...

Re: Bait Bazi -June 2014

sorry 4got 2 post last word :-s
tay/kaf

Re: Bait Bazi -June 2014

Tum Hamaray Kissi Tarah nah hoye
Warnah Dunya main kia nahin hota

hay/Alif

Re: Bait Bazi -June 2014

***Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe,
Mere andar se sabhi rang tumhare nikley

noon/ye***

Re: Bait Bazi -June 2014

hay/yah


Restored attachments:

Re: Bait Bazi -June 2014

*yaarab is iKhtilaat ka anjaam ho baaKhair *
**tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaan

kaaf/noon **

Re: Bait Bazi -June 2014

na ouraa youn thookro se meri khaak E qaabr zalim
yahe aik rahgai ha mare payar ki neshani

Re: Bait Bazi -June 2014

*na karataa zabt main giriyaa to ai "Zauq" ik gharii bhar mein *
**katore kii tarah ghariyaal ke garq aasmaan hotaa

hey/alif**

Re: Bait Bazi -June 2014

apnay siwa hamaray nah honay ka ghum kissay
apni talash main tou hum he hum hain dostoon
kuch aaj shaam he say dil bhi bujha bujha
kuch shaher kay chiragh bhi madham hain dostoo

dal/wao

Re: Bait Bazi -June 2014

**Woh jo geet tum ne suna nahin,
Meri umar bhar ka reyaaz
tha,
Mere dard ki thi daastaan,
Jisey tum hansi mein urraa gaye..

gaaf/ye***

Re: Bait Bazi -June 2014

*yaa haathon haath lo mujhe jaise ke jaam-e-may *
**yaa thorii duur saath chalo main nashe mein huun

hey/noon**

Re: Bait Bazi -June 2014

***Humain ab kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,
Kissi ka ho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,

hey/wao***