Re: Bait Bazi (July)
Re: Bait Bazi (July)
Raaz E Hasti kuch nahin aksar Yehi dekha hai,
be khabar haste rahe ba khabar rote rahy..!!
Re: Bait Bazi (July)
rah mai pary pathar ki tarah
har koi mar kr thokar chala jata hai
Re: Bait Bazi (July)
*hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii *
**ek turfaa tamaashaa hai "Hasrat" kii tabiiyat bhii
bey/ye**
Re: Bait Bazi (July)
Bichra to dosti k asaasy b bat gaye,
shuhrat wo ly gya mujhe ruswayi de gya..!!
Re: Bait Bazi (July)
*aah ko chaahiye ik umr asar hone tak *
**kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
tey/kaaf**
Re: Bait Bazi (July)
tamam umer usi ky khayal mai guzar di
jisy ajj tk maira khyal na aya
Re: Bait Bazi (July)
Ek sitam zamane ne kia cheen li mujh se meri mohabbat,
ek sitam main ne kia k phir mohabbat Kr li..!!
Re: Bait Bazi (July)
ye mahakatii hui Ghazal "Makhdoom"
**jaise saharaa mein raat phoolon kii
kaaf/ye**
Re: Bait Bazi (July)
Kayi aur ahl e talab mile mujhe raah e shoq mein hum qadam,
jinhain kar raha tha talaash mein wohi log mujh ko mile nahin..!!
Re: Bait Bazi (July)
nafrat krni hai to shoq se kro
dil apna hi duKHao gy
(Kf..)
Re: Bait Bazi (July)
*yahii haalaat ibtadaa se rahe *
**log hamase Khafaa Khafaa se rahe
rey/ye**
Re: Bait Bazi (July)
Ya tera tazkara kary har koi,
ya koi hum se guftago na kare..!!
Re: Bait Bazi (July)
thy/ye
Re: Bait Bazi (July)
Tor gya wo hum se ta'luq faqt itna keh kar,
ujry huye logon mein hum basa nain karte..!!
Re: Bait Bazi (July)
Ye kon si manzil hai k jis manzil par,
tere deewane ko kehte hain deewana log..!!
Re: Bait Bazi (July)
*lab-e Khaamosh se afshaa hogaa *
**raaz har rang mein rusvaa hogaa
hey/alif**
Re: Bait Bazi (July)
Hum wohi hain bas thikana badal lia hai,
tere dil se nikal kar ub apni auqat main rehty hain..!!
Re: Bait Bazi (July)
*na jis kii shakl hai koii na jis kaa naam hai koii *
**ik aisii shai kaa kyoN hameN azal se intazaar hai
hey/ye**