Bait Bazi - July

Re: Bait Bazi - July

**Ho Ager Ahsaas Tu Zara Kijeye Mehsoos
Har Baat Ka Izhaar Zarori Nahi Lab Say

seen/ye
**

Re: Bait Bazi - July

**Salook-e-Naarawa ka iss liye shikwa nahi karta
ke meiN bhi to kisi ki baat ki parwaah nahi karta :snooty:
**
Kaaf aur Alif

Re: Bait Bazi - July

kaesi mohabbat kaesi chahat,ham pe sab kuch roshan tha
yoohni zara sa shauq huwaa tha aao dil barbaad karaiN..

'kaaf' noon'

Re: Bait Bazi - July

nice

Re: Bait Bazi - July

Koi roothey agar tum se to foran mana lena
Anaa ki jang main aksar judai jeet jati hai

hey........yey

Re: Bait Bazi - July

Ho koi barbad is se tujh ko kia
tere rukh pe sadgi baqi rahay

rey/ye

Re: Bait Bazi - July

*Ye kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaaney kaho
kabhi to us ke bahaaney suna karo us sey
*

Seen aur ye

Re: Bait Bazi - July

yad tumhart bhi MOHSIN kisi muflis ki poonji hai
jise hum sath rakhtay hain,jise hum roz ginte hain...
hay/noon

Re: Bait Bazi - July

NishaN raahoN ko milte heiN, nazar milti hey jalwoN ko
magar shamoN ko apni roshni se kuch nahiN milta

Meem aur Alif

Re: Bait Bazi - July

aaraa_ish-e-Khayaal bhii ho dil_kushaa bhii ho

vo dard ab kahaa.N jise jii chaahataa bhii ho

hay/wao

Re: Bait Bazi - July

Khuda kry k salamat rhen wo loug jinhen,,,,,,,,

bry khloos sy hm ab b yad krty haen...............

noon

Re: Bait Bazi - July

*Na itna toot ke milna ke shak guzrey
khaloos meiN bhi zaroori hey faasley rakhna
*

Rey aur Alif

Re: Bait Bazi - July

oron k liye dhoop main chup chaap kharre hain
seekhe koi adab-e-wafa sang-o-shajar se...
seen/yay

Re: Bait Bazi - July

**
Sooraj ke saath doob gaya dil bhi mera aaj
itna udaas shaam ka manzar kabhi na tha**

Teey aur Alif

Re: Bait Bazi - July

apni nakami ka ye b sabab hai FARAZ
cheez jo mangte hain sab se juda mangte hain...
hay/noon

Re: Bait Bazi - July

Na khat likhooN na zubaani kalaam tujh sey rahey
khamoshiyoN ka yehi intiqaam tujh sey rahey

Rey aur Ye

Re: Bait Bazi - July

rehtay hain jugnoo meri ankhon k nagar main
gir jain tu ansu,teren tu nami hain...
hay/noon

Re: Bait Bazi - July

*Hasrat bhari nigaah ka koi sabab to hey
tu haal-e-dil to pooch, kaheiN mar na jaaoN meiN
*

Meem aur Noon

Re: Bait Bazi - July

Meray sath tum bhi dua kero youN kisi k haq maiN bura na ho
Kaheen or ho na yay hadsa koi rastay maiN juda na ho
Sar-e-shaam thehri hoi zameeN jahan aasmaaN hai jhuka hoa
Us mor pay meray wastay wo chiragh lay k khara na ho

" Hay" or "Wao"