Bait Bazi - July 2012

Re: Bait Bazi - July 2012

Yaad rakho tou dil k paas hain hum
bhool jao tou faslay hain bohat.

Re: Bait Bazi - July 2012

tu ne kaha na tha me kashti pe bujh hun :@:
aankhon ko ab na dhamp mujy dubta b dekh

Re: Bait Bazi - July 2012

Haal hummara poocha hum say chaltay chaltay tu nay bhi
Seekh liay hain be-ganon kay taurr tareeqay tunay bhi

Re: Bait Bazi - July 2012

**Ye raah akeli kathti hai yaan saath na koi yaar chale
Us paar na jaane kya paain es paar to sab kuch haar chale

che/ye**

Re: Bait Bazi - July 2012

Yeh kis ke sog mein shoridaa-haal phirtaa huun

wo kaun shakhs thaa aisaa k mar gayaa mujh mein...

Re: Bait Bazi - July 2012

***NA RAHY TERA DIL RANJ-O-MALAL MAIN*
TUJY HAR KUHSHI MIL JAY NAY SAL MAIN
HAR ARZOO TERI PAYA TAKMIL KO PUHNCHY
**EK LAMHA BI NA GUZRY GUHM KE KHYAL MAIN

meem/noon ****

Re: Bait Bazi - July 2012

Mujay Zindagi Ki Talb Nahi
Mujay Zindagi Say Gila Nahi

Jisay Pa Kar Kho Diya
Woh Naseeb Tha Mila Nahi

Re: Bait Bazi - July 2012

Nazuki us k lab ki kia kahey
pankhari ik gulab ki C hai.......

Re: Bait Bazi - July 2012

C kiyun hai D kiyun nahi?

Re: Bait Bazi - July 2012

pehlay CD thi phir in mein alahdgi ho gai thi ab C alag aur D alag :crying:

Re: Bait Bazi - July 2012

Ye mera haal hy jis pr hansi aa gayi tumhe,
Aksar isi haal ne hanste huon ko rula dia…

Re: Bait Bazi - July 2012

Andheri raat mein yeh saya ho nahi sakta
Yeh koun he jo mere sath sath chalta hai

Re: Bait Bazi - July 2012

**aa ke tujh bin iskadar ai dost ghabraataa hoon main
jaise har shay mein kisee shay kee kamee paataa hoon main

meem/noon**

Re: Bait Bazi - July 2012

na chain aye na maut aye, jee rahay hain na mer rahay hain,
kahan tha pehlay ye haal apna, na tum se miltay na aisa hota

Alif

Re: Bait Bazi - July 2012

*Uss koo gillaa rahaa kay towajoo naa dii ussay
Laikin hummain khud apni raffaqat naheen milli *

Re: Bait Bazi - July 2012

ye kaya aadat hai dukhrray har kissi ke samnay rona
jisay milna, lipat jana, galay ka haar ho jana

Alif

Re: Bait Bazi - July 2012

*Itna socha hai kuch sawalon per
barf si girne lagi hai balon per
rone wale tu hans nahi sakte
log hanste hain rone walon per *

Re: Bait Bazi - July 2012

Raat meri aankh main aik sailaab tha,
Tera chehra dakhina sa bhi tabiyat bhar gai.

Re: Bait Bazi - July 2012

***yon to hum dono mein hain kitne zamane hayal*
**tum bulate ho to lamhe mein palat ata hon

hey/noon****

Re: Bait Bazi - July 2012

*Najanay Dil Bhi Kya Shay Hai
Keh Gar Abad Ho Jaye
To Dunya Ka Her Ik Mausam
Bohat Shaadaab Lagta Hai
*