Re: Bait Bazi - February
Youn hee be sabab na phira karo koi shaam ghar bhee raha karo
woh ghazal kee sachee kitaab hay ussay chupkay chupkay parha karo
Re: Bait Bazi - February
Youn hee be sabab na phira karo koi shaam ghar bhee raha karo
woh ghazal kee sachee kitaab hay ussay chupkay chupkay parha karo
Re: Bait Bazi - February
Kiye Hein Kuch Ese Karam Doston Ne
Ke Ab Dushmano Ki Zaroorat Nahi Hai
Re: Bait Bazi - February
<!--[if gte mso 9]>
log waisay bhi nahi jaisay nazar atay hain
Re: Bait Bazi - February
neela mera wujood gharri bhar me kar geya
woh zehr ki tarah merey dil mein utar geya
palkein laraz ke reh gayen aur deep bujh gae
ilzaam ab ke baar bhi aandhi ke sar geya
Re: Bait Bazi - February
Gardon Ke Sitaarey Bujhney Do, Dunya Sey Kaho Maatam Na Karo
Zarron Sey Shuaaein Phoottein Gi, Matti Ki Khudaai Baaqi Hey
Re: Bait Bazi - February
ye kaun aa gayaa meri bazm-e-Khayaal meiN
puuchaa mizaaj kisane dil-e-soGavaar kaa
Re: Bait Bazi - February
kiyon chupkae sae woah loog uter jatae hain dil main
jin logoon sae qismat kae sitarae nahin miltae
Re: Bait Bazi - February
Meri Zindegi Pe Na Muskara Mujhe Zindegi Ka Alam Nahin
Jise Tere Gam Se Ho Vaasta Vo Khizaan Bahaar Se Kam Nahin
Re: Bait Bazi - February
naaz hai taqat-e-gaftaar pe insaano ko
bat karney ka saleeqa nahee nadano ko
Re: Bait Bazi - February
Kabhi Jora, Kabhi Tora, Kabhi Phir Jor Kar Tora
Isi Paiwand Kaari Nay Shikasta Kardia Dil Ko
Re: Bait Bazi - February
.
Re: Bait Bazi - February
Nahin ho tum bhi qayamat ki tund-o-taiz hawa..
Kisi k naqsh-e-paa ki lakeer ham bhi nahi...
Hamari doobti nabzon se zindagi to na maang..
Sakhi to hain mager itne ameer ham bhi nahi...!!!
Re: Bait Bazi - February
Na tou zameen kay li'ay hay na aasmaan kay li'ay
Tera wajood hay ab sirf daastan kay li'ay
Re: Bait Bazi - February
***ye surkh libasi humnain wirsey main mili he*
**jo baat bhi kehtey hain uttar jati he dil mein
meem/noon****
Re: Bait Bazi - February
Hum Dashat Thay kah Darya, Hum Zahar Thay Kay Amrat
Nahaq to Za'um hum ko, jub kah woh naheen tha piyaasa
pay/alif
Re: Bait Bazi - February
**Apne ehsaas se chhoo kar mujhe sandal kar do
Mein sadyon se adhoora hon mukammal kar do
daal/wao**
Re: Bait Bazi - February
daire nahin, haram nahin, dar nahin, astaaN nahin
batehay hain rahguzar per ham, ghair hamay uthaye kiun
Re: Bait Bazi - February
koi falsafa naheen Ishq kaa
jahan dil jhuke wahin sar jhuka
waheen zaanon jorr ke beth ja
na sawaal kar na javaab de
Re: Bait Bazi - February
yeh hansee bhee koee naqaab hay jahaan chaaha hum nay gira liya
kabhee us ka dard chupa gayay kabhee apn adard chhupa liya
Re: Bait Bazi - February
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho
Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho.