Bait Bazi - February

Re: Bait Bazi - February

abhi mushkil se samjhega zamaanaa :nahi:
naya nagHmaa nai Aawaaz hooN maiN :hat:

Re: Bait Bazi - February

***meri umar sey na simat sake mere dil mein itane savaal they*
**tere paas jitane javaab the teri eik nigaah mein aa gaye

gaaf/ye****

Re: Bait Bazi - February

yah khawab hay, khushbo hay, jhonka hay kah pal hay
yah dhund hay, badal hay, saya hay kah tum ho

hay/vow

Re: Bait Bazi - February

wo ager mil jae os se yi puchon aik din
wo jo pehly aadmi tha ab khuda kese hua

hey/alif

Re: Bait Bazi - February

aisey sheir mt perha kr :mad:

Ab ehtiat ki deewaar kyaa uThaate ho
Jo chor dil meN chupa tha vo kam kar bhi gya

Re: Bait Bazi - February

us nay muje sonpi hai yadoo ki saltanat
log kehtay hain wo tuje Berbad ker gaya

Re: Bait Bazi - February

ussay kahna palkon par nah tankay khawab jhalar key
sumandar key kinaray ghar bana kar kuch naheen milta

Re: Bait Bazi - February

ab tak meri yadon main zinda mera bachpan hai
Titli bhi hai jugnoo bhi bheega huwa aangan hai

Re: Bait Bazi - February

Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa?
Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa?

Ayee mere dil na pareshan ho tanha ho kar,
Wo tere saath chala kab tha-Bicharna kaisa?

Re: Bait Bazi - February

Aik tabasum hazar shikwaoon ka
Kitna pyara jawab hota hay

Re: Bait Bazi - February

ham raat bohat roey bohat ahu fighan ki
dil dard se bojhal ho to phir neend kahan ki
kaaf/ye

Re: Bait Bazi - February

Kitni bay-kaif si reh jati hai zindagi "faraz"
Jab chup chaap choor jattay hain toot kr chahney walay

Re: Bait Bazi - February

yi dasture wafa sadion se raej hi zamane mi
sada-e qurb di jin ko unhi ko door dekha hi
hey ye

Re: Bait Bazi - February

Hadse zindagi mein ab aise bhi hone lage hai
Baap kandhe per laash beton ki tone lage hai..

Vo zinda tha toh nazar bhi na ut.ti thi kisi ki
Mer gaya toh laash pe uski saikadon rone lage hai..

Re: Bait Bazi - February

:k:han vese b ham MURDAH PARAST QUM hen

Re: Bait Bazi - February

Wht does parast mean?:bummer:

Re: Bait Bazi - February

yi keh ker mar gae bulbul qafas mi
koe banda na ho bande k bas mi

meem/yi

Re: Bait Bazi - February

**maiN apni zaat meiN neelaam ho raha hooN 'qateel'
gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe

wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
dagha kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe.....**

Re: Bait Bazi - February

last word :smilestar:

Re: Bait Bazi - February

ye lafzon ki shararat hai soch k likhna
muhabbat lafz hai lekin ye ho b jati hai
hay/yay