Bait Bazi - December 2013

Re: Bait Bazi - December 2013

**Abhi Tak Mojood Hein Es Dil Mein Tery Qadmoon Kay Nishan
Tumhary Baad Es Raah Sy Kisi Aur Ko Guzarnay Nahi Diya

daal/alif
**

Re: Bait Bazi - December 2013

ab koe mujhko dilaey na mohabta ka yaqeen
jo mujy bhul na sakte thy ,vohi bhul gaey:snooty:

gaaf/ye

Re: Bait Bazi - December 2013

‘Gul’ mar kr bhi tera intezar karay ga
Kay kab janazy per aa key ro gi aur rulao gi

gaaf/ye

Re: Bait Bazi - December 2013

repeat telecast

Re: Bait Bazi - December 2013

**Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intezaar kiyaa

kaaf/alif
**

Re: Bait Bazi - December 2013

:rule:plzzzzzzzzzzzzz

gaaf se hai ghain se nahin

Re: Bait Bazi - December 2013

**Aaj kuch dard dil main hota hai..
Ankh ky sath jgar bhi rota hai *
*

hey/ye

Re: Bait Bazi - December 2013

**ham log ab to paraaye se hain kuchh to bataao haal-e-"Firaq"
ab to tumhin ko pyaar kare hain ab to tumhin se bole hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - December 2013

nahin tera nasheman qasr-e-sultani key gumbadd par
tu shaheeN hai basera kar pahaaron ki chataanon par

pey/rey

Re: Bait Bazi - December 2013

Paas jab tak woh rahay dard thama rehta hai ...
phelta jata hai phir ankh k kajal ki tarhaan...!

Re: Bait Bazi - December 2013

to an-0-karhan barhaty hn mulaqation se hath
sab se yarana mera moquf qatan ho gaya :nook:

GAAF/ALIF

Re: Bait Bazi - December 2013

iss shehar mein kis sey milein, hum sey tou chootein mehfilen
har shakhs teraa naam ley, har shakhs deewana teraa

tey/alif

Re: Bait Bazi - December 2013

**ab to har shaam guzaratii hai isii kooche mein
ye nateejaa huaa naaseh tere samajhaane kaa

kaaf/alif **

Re: Bait Bazi - December 2013

ALLAH ri chasm-e-yaar ki mojis bayaniyaan..
har ek ko hai gumaan ki makhatib humeein rahe

re/ye

Re: Bait Bazi - December 2013

roza hans bol key din kaat diya kartey hein
roaz hou jaate hein hum ranjeeda saa raat gaye

gaaf/ye

Re: Bait Bazi - December 2013

**garaj baras pyaasii dhartii par phir paanii de maulaa
chiriyon ko daanaa, bachchon ko guradhaanii de maulaa

meem/alif
**

Re: Bait Bazi - December 2013

muskuranay se b hota hai bayaan ghum-e-dil..
mujhko ronay ki b aadat ho zaroori to nahi..

Re: Bait Bazi - December 2013

**na tum aaye na chain aayaa na maut aaii shab-e-vaadaa

dil-e-muztar thaa main thaa aur thii betaabiyaan merii

meem/ye
**

Re: Bait Bazi - December 2013

Mein to jaan boojh kar bhi sookh jaunga
K tu mujhy apny hath se paani pila de ga

gaaf/alif

Re: Bait Bazi - December 2013

**ab ise log samajhate hain giraftaar meraa

saKht nadiim hai mujhe daam mein laane vaalaa

wao/alif
**