Bait Bazi Competition-Team B

Re: Bait Bazi Competition-Team B

Har taraf har jagah be shumaar aadmi
***Phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmi
nida fazli


Re: Bait Bazi Competition-Team B

Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi,
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..

Wasi Shah

hay

Re: Bait Bazi Competition-Team B

Har taraf bhaagte dauRte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Nida Fazli

Re: Bait Bazi Competition-Team B

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,

Wasi Shah

Tey

Re: Bait Bazi Competition-Team B

*Apni tarah sabhi ko kisi ki talash thi
Hum jiske bhi qareeb rahe door hi rahe
nida fazli
*

Re: Bait Bazi Competition-Team B

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

Mirza Ghalib

Re: Bait Bazi Competition-Team B

*Har waqt har maqaam pe haNsna mahaal hai
Rone ke waaste bhi koi be-kali rahe
nida fazli
*

Re: Bait Bazi Competition-Team B

raato.n me.n gar na ashk bahaauuN to kyaa karuuN
ik pal bhii us ko bhuul na paauuN to kyaa karuuN

**Murad Lucknawi

kaaf/noon**

Re: Bait Bazi Competition-Team B

kan se dil main utarati nahi bat
aur guftar hui jati hai

ahmed nadeem qasmi

hey/ye

Re: Bait Bazi Competition-Team B

**yuu.N gumaan hotaa hai garche hai abhii subah-e-firaaq
Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii gaii vasl kii raat

Faiz

rey/tey
**

Re: Bait Bazi Competition-Team B

tamam maikada sunsan maigusar udas
labon ko khol kar kuch sochati hain minayen

ahmed nadeem qasmi

meem/noon

Re: Bait Bazi Competition-Team B

**mujh ko jinhone qatl kiyaa hai koii u.nhe.n batalaaye "Nazeer"
merii laash ke pahaluu me.n vo apanaa Khanjar bhuul gaye

Nazeer

gaaf/ye
**

Re: Bait Bazi Competition-Team B

gul tera rang chura laye hain gulzaro main
jal raha hun bhari barasat ki baucharo main

ahmed nadeem qasmi

meem/noon

Re: Bait Bazi Competition-Team B

**main ne puuchhaa kyaa huaa vo aap kaa husn-o-shabaab

hans ke bolaa vo sanam shaan-e-Khudaa thii main na thaa

Bahadur Shah Zafar

tey/alif
**

Re: Bait Bazi Competition-Team B

aur aitabar khote hi apna raha-saha
bas a gaya yaqin hamein, qasmein na khayiye

Altaf hussain hali

kaaf/ye

Re: Bait Bazi Competition-Team B

**yaar bin talKh zi.ndaganii thii
dostii muddaii-e-jaanii thii

Meer Taki Meer

tey/ye
**

Re: Bait Bazi Competition-Team B

ye kya k dil hai dair mein aur kabe mein maqam
ho rahiye bas wahin k, jahan dil lagayiye

Altaf hussain hali

laam/ye

Re: Bait Bazi Competition-Team B

**ye haadasaat jo hai.n iztaraab kaa paiGaam

ye haadasaat hii aaye.nge saazagaar mujhe

Aziz Warsi

meem/ye
**

Re: Bait Bazi Competition-Team B

yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahan

Altaf hussain hali

kaaf/noon

Re: Bait Bazi Competition-Team B

**karuu.N shikaayate.n takataa rahuuN ke pyaar karuuN

gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai

Amjad Islam Amjad

hey/ye
**