Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul kar do
mere ehasaas kii duniyaa ko mitaa do humdum

hey/meem**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

main to samajha tha key laut atey hain janey waley
tu ney jakar to judai meri qismat kar di

daal/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**yaqiin laayen to kyaa laayen jo shak laayen to kyaa laayen
ki baaton se trii sach jhuuTh kaa imkaan nahin hotaa

hey/alif**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ab Tere Shahar Mein Aaunga Musaafir Ki Tarah
Saayaa-E-Abr Ki Maanind Guzar Jaaun gaa

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**gaii vo baat ki ho guftaguu to kyonkar ho
kahe se kuchh na huaa phir kaho to kyonkar ho

hey/vao**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

laam/alif

Ahmad Faraz

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

La Phir Ek Baar Wohi Bada-o-Jaam Ae Saqi
Haath Aa Jaye Mujhe Mera Maqam Ae Saqi

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,

hey/nonn

Ahmad Faraz

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**hamaare zahan mein is fikr kaa hai naam visaal
ki gar na ho to kahaan jaayen ho to kyonkar ho

hey/vao**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki

kaaf/ye

Ahmad Faraz

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**kis ko dekhaa hai ki pindaar-e-nazar ke baavasaf
ek lamhe ke liye ruk gaii dil kii dharakan

daal/noon**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,

hey/noon

Ahmad Faraz

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**naii subah par nazar hai magar aah ye bhii Dar hai
ye sahar bhii raftaa raftaa kahin shaam tak na pahunche

pey/ye**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yunhi Be Sabab Na Phira Karo,
Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo,

Woh Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai,
Isa Chupke Chupke Parha Karo,

Kaaf/Wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**vo navaa-e-muzamahil kyaa na ho jis me.n dil kii dharakan
vo sadaa-e-ahale-dil kyaa jo avaam tak na pahunche

pay/ye**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Pewasta Reyhh Shajar Se
Umeed-e-Bahar Rakh

Ray/Hey

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**raah-e-talab mein kaun kisii kaa apane bhii begaane hain
chaand se mukhare rashk-e-Gazalaan sab jaane pehachaane hain

hey/noon**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ham Se Mohobaton Ki Numahish Na Hosaka Gi,
Bass Aitna Jaanta Hai K Tuja Chahata Hai Ham..

Hey/Meem

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**har taraf ek muhiib sannaataa
dil dharakataa to hai magar Khaamosh

khey/sheen**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Khwab Rehteh The Jo Kabhi Palkon Pe,
Moti Bankar Aankhon Se Gir Gaye,

Gaaf/Yay