Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hoga Kisi Deewar Ke Saye Talay PaRRa Meer
Kya Kaam Muhabbat Se Is Aaraam-Talab Ko

Kaaf/Wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

kaise keh doon ke choR diya hai usne mujhe
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

kaliyon ki mehak hota taroon ki zia hota
main bhi tere gulshan mein phoolon ka khuda hota

Hey/Alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

usse ganwa ke main zinda hoon iss tarah Mohsin
ke jaise tez hawa main charagh jalta hai

he/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye acha hai ke bohot acha nahi hoon main
dukhi naa hoga koi mere marne ke baad

Bay/Daal

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Badban khulne se pehle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hoon tum kinara dekhna

daal/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

apne hathon ki lakeeron me basa le mujhko
main hoon naseeb tera apna bana le mujhko

Meem/Wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Woh Dil Nawaz Hai Lekin Nazar Shanaas Nahin
Mera Elaaj Meray Chaara Gar Ke Paas Nahin

Noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Nafrat usi kay sath mohabbat usi kay sath,
Han qata kar lia hai ta’aluq sabhi kay sath..

Seen/Hay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thehr ke dekhte hain

he/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Naie zindagi ne muj ko naye gham ata kiye hain,
Muje kia sanar hai ho ye haqayatain purani.

Pay/Yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai
naye parindon ko uRne main waqt to lagta hai

he/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hum ko une hai wafa ki umeed
jo naheen jaantay wafa kia hai

hay/yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

her harf kitabon main tera aks liye hue hai
Ik chaand sa chehra mujhe paRhne nahin deta

daal/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad,
ya mujy khud he veham sa howa hai shayad,
main ny pocha k bhol gaye ho tum bhi ?
pOnch kar aansu mjhy Usny kaha …”SHAYAD”

Sheen/Daal

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

shayad usne mujhko tanha dekh lia hai
dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai

he/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hum bhi wohi hijr-e-yaraan bhi wohi

suna hai kucha-e-yaar me aaj "Eid" hai

hay/yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yaad e mazi azaab hai ya rab
chheen le mujhse hafiza mera

meem/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ab tu khuwahish hy ke ye zakham bhi kha kar dekhein
Lamha bhar ko sai es ko bhula kar dekhein

Daal/Noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Dono jahan teri mohabbat meiN haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke

kaf/ye