Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Na Zameen hai meri Qarar-Gah, Na Falak hai Manzil-e-Jazba-e-Dil
Bari Der sey hai Safar mera, Teri Yad sey Teri Yaad tak..

tay/kaaf

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**terii galii mein saaraa din
dukh ke kankar chunataa huun

***hey/noon*

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

NISAAB e UMAR KA ITNA SA GOSHWARA HA
TUMHE NIKAAL K DEKHA TAU SAB KHASARA HA

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Har aaNgan mein saje na tere ujle roop ki dhoop
Chhail-chhabeeli raani thoRa ghuNghat aur nikaal

noon/laam

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Na jane qismat ke band saheefon main kon kis ko ata huwa hai
main apni khwahish ke kaghazon pe tera naam likhoon to kaise likhoon

laam/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye chaand sitaray mujhe karty hain nasehat
raton ko phira kartay ho, so kiun nahi jatay

jeem/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se,
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye Lehja, Ye Adawat, Ye Tarz-e-Mohabat Tuamra
Samjh Pao'n to Olajh Jaon, na samjh Pao'n to Bikher Jaon..!!

jeem/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ji bahalata hi nahiN ab koyee sa’at koyee pal
Raat Dhalatii hii nahiN chaar pahar se pahale

pay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh Baad Main Khuley Ga K Kiss Kiss Ka Khoon Hua..??
Her Eik Bayan Khatam, Adalat Tamam Shud...

sheen/daal

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha.
apne hisse ki koi shama jalate jaate

jeem/.ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Jo mera hai Main kisi aur ko Kyon doon MOHSIN
Main Apni Mohabat mein Bacho'n ki trah hoon..!!!

hay/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ham Zindagi ki Talkhiyo'n sey larr rahey they Aj
Aa Ker terey Kheyal ney Acha nhi Kia...!!!

kaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai Faraz,
Roney walon ki taraaah jaagney waalon jesi..

jeem/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Jhoooti musarrato'n ko Ye Haadsa Suna do
Ham Gham ki Talkhiyo'n pe Eemaan la Chukay hen...!!

hay/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun

kaf.noon
**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiin chaahtaa hai.

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan

meem/noon