re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,
Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne,
noon/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,
Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne,
noon/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Uth Bandh Qamar Kyun Darta Hai Phir Dekh Khuda Kya Kerta Hai
Hey/Yay
Hawas Ki Bunyad Par Na Thehra Kisi Bhi Umeed Ka Gharonda,
Chali Zara Si Hawa Mukhalif,Ghubar Ban Ke Bikhar Gaya Wo,
wao/ hai
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Woh mujhe zindagi samajhta hai,
Kya usey mera aitbaar naheen..
Noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz,
Gila to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho..
hey/wao
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
hazaaroun saal nargis apni be-noori pey roti hai
baRi mushkil sey hotaa hai chaman meiN deeda-war paidaa
pey/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Ab jo rootho ge to haar jao ge,
Hum manaanay ke gur bhulaa bethey..
Bay/Yay
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
barah-e-raast raabta na mujhse tha qabool unhe,
Likhaa ke khat raqeeb se bulaa liya geya mujhe,
meem/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Mein barf barf rutouN meiN chalaa tou uss ney kahaa
palat key aanaa tou kashti meiN dhoop bhar laana
laam/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Itni shiddat se yaad aye ho,
Jese phir yaad hi nahin aana..
Alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Ulfat ka jab maza hai ke donon hon beqaraar,
Donon taraf ho aag baraabar lagi huyii..
hey/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
yeh umr bhar ki musaafat hai dil baRa rakhnaa
key loag miltey bichaRtey raheiN gai rastey meiN
meem/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
mujhse ab aur tamasha ho nahi sakta
le jaa ye dikhaway ki hansi bhi aa ker
Kaaf/Ray
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Ke chorr ker jis din se gaye ho tum mujhe,
Shadeed aah-o-zaari* hai mujh pe tere bin,
bey/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
naa thaa kuch tou khudaa thaa, kuch naa hotaa tou khudaa hotaa
daboyaa mujh kou honey ney, naa hotaa meiN tou kiyaa hotaa
hey/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
Hey/Yay
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
<!--[if gte mso 9]>
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..
<!--[if gte mso 9]>
alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
ab key hum bichRey tou shayad kabhi khabwon mein milein
jis tarhan sookhey huey phool kitaaboun mein milein
meem/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Mehfil ar’aa they magar phir kam’numaa ho geya they,
Dekhtey hi dekhtey hum kya se kya ho gaye they..
Tey/Yay
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Tumhare naam ki tasbeeh yeh kab se karta hai,
Mera yeh dil ke koi kaam ab kiya na kare,
kaaf/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
yeh faizaan-e-nazar thaa yaa key maktab ki karaamat thi
sikhaaye kis ney Ismail (A.S) kou aadaab-e-farzandi
fey/ye