re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
ap nahi khel sakty kion k
ao ny
team me apna naam nhai dia
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
ap nahi khel sakty kion k
ao ny
team me apna naam nhai dia
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
SAMJY?
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
you can play.
Woh jo hum main tum main qarar tha tumhen yaad ho kay na yaad ho
Wohi yani waada nibah ka tumhen yaad ho k na yaad ho
he/wao
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Wo Hijar Ki Rat Ka Sitara,Wo Hamnafs Ham Sukhan Hamara,
Sada Rahe Us Ka Nam Pyara, Suna Hai Ke Rat Mar Gaya Wo,
Nasir kazmi I think
wao/ hai
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Not part of the team.
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Wo jo lutf mujh pay thay beshtar woh karam tha mere haal par
Mujhy sab hai yaad zra zra tumhen yaad ho kay na yaad ho
he/wao
Poet name mention karna zaroori nahin
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
woh harf-e-raaz key mujh kou sikhaa gaya hai junooN
Khudaa mujhey nafs-e-Jibreel dey tou kahooN
kaaf/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha
seen/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
ab key tajdeed-e-wafaa kaa imkaaN nahiN jaanaaN
yaad kiyaa tujh kou dilaayeiN teraa paimaaN jaanaN
jeem/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb
Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb
Ghain/ be
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
tey/wao
Ahmad Faraz
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin ke bure hum hain dosto
daal/wao
shayar ka naam post na karen . not required
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Wo Rat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shair,Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha,Phir Na Jane Kidhar Gaya Wo …
definitely nasir kazmi ![]()
wao/ hai
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
hey/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
hum sar-e-chak-e-vafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana dega hamen ae yar ban jayenge hum
he/meem
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Main de raha tha saharey to ik hajoom mein tha,
Jo gir parra to sabhi raasta badalney lage..
laam/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera
ki bund bund ata kar ghata ghata le ja
jeem/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
ab key rut badli tou khushboo kaa safar dekhay gaa koun
zakhm phoolouN ki tarhaN mehkeiN gai par dekhey gaa koun
kaaf/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Kisi ka ishq kisi ka khayal they hum bhi,
Gaye dinon mein bohat ba-kamaal they hum bhi..
bey/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
yeh naa thi hamari qismat key wisaal-e-yaar hotaa
agar aur jeetey rehtey, yehi intezaar hotaa
hey/alif