Bait Bazi-April-2013

Re: Bait Bazi-April-2013

*Koi anmol khuwab likh jao
Mera chehra gulaab likh jao
Baad mein aa k apny hath’on se
Mera jeewan saraab likh jao. . *

jeem/wao

Re: Bait Bazi-April-2013

wo log bohot khush qismat thay
jo ishq ko kam samjhty thay

Re: Bait Bazi-April-2013

Teray hum’rah tera sayaa bhi kab dekh sakoon,
Dil jalati hai koi baat raqabat jaisi..

jeem/yeh

Re: Bait Bazi-April-2013

**

**Mere Baad......Ehl-e-Dil Ki Mehfilon Mein Jaa K

Meri Shairi Larray Gi Mere Khoon Ka Muqadma..!!
...**

**

Re: Bait Bazi-April-2013

Mara mara phirta hai in galiyon main
Jisy tm ny apny shehr sy be-dakhal kai hai

heh/yeh

Re: Bait Bazi-April-2013

Yahan Main Ziker Nahin Kr raha Makenon Ka
Kabhi Kabhi Dr-o-Dewar Marny Lagty Hain

Re: Bait Bazi-April-2013

Na jenay ki khushi na marnay ka gham hua hai
Bs tery sath chalny ka shouq hua hai

Re: Bait Bazi-April-2013

hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahii.n

mere naGmaat ko a.ndaaz-e-navaa yaad nahii.n

Re: Bait Bazi-April-2013

Na peghaam hai na duaa koi,
Is qadar hum se hai khafaa koi.

kaaf/yeh

Re: Bait Bazi-April-2013

kabhii kisii ko mukammal jahaa.N nahii.n milataa

kahii.n zamii.n to kahii.n aasmaa.N nahii.n milataa

meem/alif

Re: Bait Bazi-April-2013

Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay

wao/yeh

Re: Bait Bazi-April-2013

vo ke har ahad-e-muhabbat se mukarataa jaaye
dil vo zaalim ke usii shaKhs pe marataa jaaye

jeem/ye

Re: Bait Bazi-April-2013

Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,

heh/yeh

Re: Bait Bazi-April-2013

har suu dikhaa_ii dete hai.n vo jalvaagar mujhe
kyaa-kyaa fareb detii hai merii nazar mujhe

meem/ye

Re: Bait Bazi-April-2013

Yu’n to main khaasa khush’mizaaj hoon Waqas, magar,
Kabhi kabhi teri at’aa kardaa gham ki jageerain rula deti hain..

heh/noon

Re: Bait Bazi-April-2013

na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n
jigar ke daaG chhil jaane ke din hai.n

hey.noon

Re: Bait Bazi-April-2013

Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele

pey/yeh

Re: Bait Bazi-April-2013

patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye hai.n
tum shahar-e-mohabbat kahate ho ham jaan bachchaakar aaye hai.n
hey/noon

Re: Bait Bazi-April-2013

Na jane kab tere dil per neyi si dastak ho,
Makaan khali hua hai to koi aye ga,

gaaf/alif

Re: Bait Bazi-April-2013

gale lagaa ke jo sunate the dil kii aaho.n ko
taras rahaa huu.N unhii.n kii hasiin baaho.n ko
KAAF/WAO: