Bait Baazi - November 2014

Re: Bait Baazi - November 2014

*har baar maangatii hai nayaa chashm-e-yaar dil *
**ik dil ke kis tarah se banaauun hazaar dil

daal/laam**

Re: Bait Baazi - November 2014

da'wa baRa hay ilm-e-reyazi main aapko
tool-e-shab-e-firaq zara maap deejiye

daal/ye

Re: Bait Baazi - November 2014

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho
**ik haath mein maalaa ho ik haath mein pyaalaa ho

hey/wao**

Re: Bait Baazi - November 2014

hay showq aur zabt-e-showq main din raat kashmakash
dil mujh ko, main hun dil ko pareshaan kiye huway

hay/ye

Re: Bait Baazi - November 2014

*yuun bichharanaa bhii bahut aasaan na thaa us se magar *
**jaate jaate us kaa vo mur ke dubaaraa dekhanaa

daal/alif**

Re: Bait Baazi - November 2014

aankhon say neend, dil say sukoon ho gya juda
lagta hay apnay saath koi haath kar gya

gaaf/alif

Re: Bait Baazi - November 2014

*ghar jab banaa liyaa hai tere dar par kahe bagair *
**jaanegaa ab bhii tuu na meraa ghar kahe bagair

bey/rey**

Re: Bait Baazi - November 2014

baat chali to neel gagan say taray toRay logoon nay
waqt paRa to jaan chhuRa li jaan say pyaray logoon nay

noon/ye

Re: Bait Baazi - November 2014

*na hogaa yak bayaabaan maandagii se zauq kam meraa *
**hubaab-e-mauj-e-raftaar hai, naqsh-e-qadam meraa

meem/alif**

Re: Bait Baazi - November 2014

acha hay dil kay sath rahay paasbaan-e-aql
lekin kabhi kabhi isay tanha bhi chhoR day

daal/ye

Re: Bait Baazi - November 2014

*dard-e-dil mein kamii na ho jaaye *
**dostii dushmanii na ho jaaye

jeem/ye**

Re: Bait Baazi - November 2014

jeenay ka humain khud na mila waqt to kya hay
logon ko sikhatay rahay jeenay ka hunar hum

hay/meem