Bait Baazi Month Of October 2010

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

***Is tarah toot ke bikhroon teri chaahat mein
Teri aankhoon mein doub kar zindagi tamaam kar doon ...


Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*Nazar jab tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon
Bas ek dharkan dharakti hai main khud ko bhool jata hoon
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Na socha thaa yeh dil lagaane se pehlay
Ke tootega dil muskuraane se pehlay

Next: "Yeh"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*Ye ishq-e- mohabbat ki rivayat bhi ajeeb hay
Paya nahi hay jisko usay khona bhi nahi hay
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yaad phir aaya woh guzra hua saawan mujh ko
Phir meri aankh ne ronay ka bahaana chaaha

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*Ansoon ko boht smjya ka tanahi main aya karo
mahfil main humra mazak na uraya karo
is py ansoo tarp ke boly
itne logon main apko tanha paty han as liye chlay aty han
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Na khush ho kamyaabi per ke hotay yun bhi dekha hai
Kinaare tak pohanch kar bhi safeenay doob jaatay hain

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

hath uljhay huway dhagy main phansa bethy hain

                    ab bata kon sy dhagy ko juda kis sy karen

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*It ended on 'Noon' and not Hay ...
*

Na ab woh yadoon ka charhta dariya...
Na fursatoon ki udaas barkha...
Yun hi zarra si kasak hai dil mein...
Jo zakhm ghehra thaa bhar gaya woh...

Next: "Hay"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*HaqeeQatan jO MuHabat ka zaRf rakhtey haaiN
wO chOt tO Khatey haiN Magar Gilla nahiii Karte
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*yeh kin nazaron say tum nay aaj dekhaa
kay tera dekhanaa dekha na jaye *

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

yi soch kar k gham k kharidar aa gaey

                       hum  khab    bach    nay    saray    bazar    aa   gaay

                                       AHMAD FARAZ



                                                                                     YAY

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
Raat ke pichle pehar roz jagaati hai humein ...

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

na poch apni ana ki baghav tayn muhsan

                       daray qabul say bach kar dua guzarti hi


                                       MUHSAN NAQVII

                                                                                                 YAY

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yeh kis muqaam pe pohancha diya zamanay ne
Ke ab hayaat pe tera bhi ikhteyaar nahe ...

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*na mere zaKhm khile hain na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahiin ab ke gulaabon vaale *

Re: Bait Baazi Month Of October 2010


yohi besabab na phir karo kisi roz ghar bhi raha karo
woh ghazal ki suchi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Woh jin ke pyar mein sadeyaan guzaar deen hum ne
Har aik khwaab jalaane ke baad aaye hain ...

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010


Neendain meri aankhon se churaata hai wohi shakhs
So jaaoon tou khawaabon mein bhi aata hai wohi shakhs
Har zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai
Har zakhm pe marhum bhi lagaata hai wohi shakhs...

Re: Bait Baazi Month Of October 2010


Neendain meri aankhon se churaata hai wohi shakhs
So jaaoon tou khawaabon mein bhi aata hai wohi shakhs
Har zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai
Har zakhm pe marhum bhi lagaata hai wohi shakhs...