Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Us ne maangi thee meri jaan, tau kaise na mein deta ussay
Farishtay bhi dangg thay us ka andaaz-e-dua dekh kar ...
Next: "Ray"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Us ne maangi thee meri jaan, tau kaise na mein deta ussay
Farishtay bhi dangg thay us ka andaaz-e-dua dekh kar ...
Next: "Ray"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
rahtaa huN mast apne KhayaaloN meN har ghaRii
mujh se taKhaiyulaat kii lazzat na chhiniye
a she'r by: ME!
Harf-e-"YE" se
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Next: "Ye"
**
yeh maiN ne maanaa k amn-gustar yeh gesuu-e-pur_shikan nahiiN hai
dikha amujhe vo Hayaat kaa rang, jidhar koii makr o fan nahiiN hai
a she'r by: my DAD!
Harf-e-"YE" se aglaa she'r marHamat farmaaiye :)
**
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Yeh sajday kaheen tujhe kaafir na kar dain ay Insaan
Tu jhukta kaheen aur hai aur sochta kaheen aur ...
Next: "Ray"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Yeh sajday kaheen tujhe kaafir na kar dain ay Insaan Tu jhukta kaheen aur hai aur sochta kaheen aur ...
Next: "Ray"
**bajaa farmaayaa...sar sajde meN dil daGhaa_baazii meN...sad :(
rahtaa huN mast apne KhayaaloN men har ghaRii
mujh se tasavvuraat kii daulat na chheeniiye
a she'r by: ME!
aglaa she'r Harf-e-"YE" se marHamat farmaaiye. shukria**
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
mujh se taKhaiyulaat kii lazzat na chhiniye
mujh se tasavvuraat kii daulat na chheeniiye
takhaiyulaat = tasavvuraat (yahaan tau samajh aagaya)
lazzat = daulat ???
Khair ...
Yeh pyar muhabbat ka hai khail ajjab yaaroo
Ke jis ne ki wafa us ko nuqsaan raha aksar ...
Next: "Ray"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Ragon Mein Daurhtey Phirney Ke Hum Nahi Qaayil
Jab Aank Hi Se Na Tapka Tau Phir Lahoo Kya Hai
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
takhaiyulaat = tasavvuraat (yahaan tau samajh aagaya) lazzat = daulat ???
Khair ...
Yeh pyar muhabbat ka hai khail ajjab yaaroo Ke jis ne ki wafa us ko nuqsaan raha aksar ...
Next: "Ray"
**oops! sorry! mixup ho gayaa.
dar asl yeh meraa ek qit'a tha jiske misr'e mutabaadil ho gaye. qit'a kuchh hun hai:
dil se tasavvuraat kii lazzat na chheeniye
jalvoN kii pur_suroor lataafat na chheeniye
rahtaa huN mast apne KhayaaloN meN har ghaRii
mujh se taKhaiyulaat kii daulat na chheeniye**
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Yeh warq warq teri dastaan yeh sabaq sabaq tere tazkiray
Mein karun tau kaise karun alag tujhe zindagi ki kitaab se ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
yay kia k aik tor say guzray tmam omr
g chahta hi ab koe taray siva b ho AHMAD FRAZ
WOW
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Wo Bhi Kya Din The Jab Hame Log Deewaano Ki Tarah Kiss Kiya Karte The
Par Hay Hamari Futi Kismat Ke Us Waqt Ham 2 Saal Ke Hua Karte The
hahahahhaha ![]()
** ´´ YE´´**
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
ha ha ha i suggest for mazahia shaeee ree
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Yeh yaad thaa ke dua karun per uthay rahay mere hath yun
Jaise khwahishoon ke hujoom mein kaheen kho gee teri aarzoo ...
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Wo jo taaj dr thay subk qadam, inhain shor-o-ghul nay ura diya
Meri bastiyooN kay jo moor thay kaheen janglooN maiN nikal ga'ay
Meray bachpanay kay jo pair thay unhaiN koi lay gaya kaat kay
Wo amartooN maiN badal ga'ay keh kisi aalaoo maiN jal ga'ay
" Yay "
Re: Bait Baazi Month Of November 2010
Yaadoon ke deye hum ne jalaaye thay raat bhar
Dam-e-subha yun laga bhujaaye thay raat bhar
Jungle mein ajjab ehsaas-e-weshat ke darmeyaan
Barhtay rahay ashjaar ke saaye thay raat bhar ...
Next: "Ray"