Bait Baazi Month Of May 2010

Re: Bait Baazi Month Of May 2010

Ye Kare Aur Wo Kare Aisa Karen Waisa Kare,
Zindagi Do Din Ki Hai Do Din Mein Hum Kya Kya Kare

Jee Mein Aaata Hai Ki Dein Parde Se Parde Ka Jawaab,
Hum Se Wo Parda Karen Duniyaa Se Hum Parda Kare

Re: Bait Baazi Month Of May 2010

Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo
aankhen sach bolti hain pyaar chupaaya na karo

log har baat ka afsaana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaaya na karo

Re: Bait Baazi Month Of May 2010

Yaadoan ke siva aur mere paas kuch nahi..
jindagi ki safar main kaun kiska hota hain???
chhaya bhi saath nahi deti jab andhera hota hain…

Re: Bait Baazi Month Of May 2010

garmi ka rooz hai jang ki kion ker keron biyann,
der hai kai misl e shemma jalnay lagay zaban,
itni garmi kay al-hazar,
itni herarat kay al-amaan.

Re: Bait Baazi Month Of May 2010

Yar
Read the rules!!!!!!!!!!