Bait Baazi Month Of August 2009

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

Thanks Sannan & Nice One..

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

yeh mera hosla hai k
tere begair saas leti hon bat karti hon

"NOON"

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

Super she'r bella ...

**Nazar Karta Raha Mein Phool Say Jazbaat Usay
Jis Nay Pathar Kay Khilaunon Say Mujhay Behlaya

"alif"
**

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

very nice Sannan!!!!

abb k aum bichray to shayed kabhi khwaboan main milain

jis trah sookhay hue phool kitaboan main milain................

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

Hmmmmmm Maya G ...zara sanbhaliye ...

**Na Tu Gham Ki Dhoop Jala Saki,Na Mosmon Ka Asr Howa
Woh Meri Wafa Ka Hi Phool Tha Jo Abhi Tak Hai Khila Howa

**"alif"

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

akele to hum pehle bhi jee rahe the faraz
kyun tanha se ho gahe tujh se bichar ke hum

Meem

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

main nay us say pucha tha kya dhoop main barish hoti hai?
wo hastay hastay ronay lagi,aur dhoop main barish honay lagi.

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

**Yeh WarQ WaqrQ Tayree Daastaa'N **
Yeh SabaQ SabaQ Tayray TazkaraY
Main Karoo'n Tou Kaisay Juda Karoo'N
Tujhay Zindagi Kee Kitaab SaY.......!!!!

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

Ye barishon ka tasalsul bata raha hai Faraz
k aaj uss ne humain yaad baar baar kia .....

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

us nay kaha k hum bhi kharidaar ho gaey
biknay ko saray log hi tayyar ho gaey!!!!!

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

Yeh umar bhar ki musafat hai, Dil bada rakhna
Ke loug milte bichharte rahain ge raaste mein

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

Na ganwao nawik-e-neem kash ,dillay raiza raiza ganwa diya
Jo bachay hain sang samait lo,tanay dag dag loota diya


aay doost! teree yaad bhi kitny ajeeb hay
jab aa gaye to gooya, zamanay Teher gaye

ye

Re: Bait Baazi Month Of August 2009

ye daagh daagh ujala ye shab guzida seher
wo intazar tha jis ka ye wo seher to nahi!!