Re: Bahrain Visit
Janab, Jazbaat maiN mat aayaiN aur huqay say thoRi c afeem mujhay bhi send ker daiN
I know kay most of the remittance Gulf say aati haiN, aur issi liya kaha kay Bahrain Aamb laynay gaay thay, kyoN kay Bahrain khud Saudi aur Kuwait say maang ker khata hay, agr Man-Power kay liya jana hay tu Kuwait aur Qatar jayaiN jahaaN govt nay PakistaniyooN ko commercial visa dayna band kiya howa hay… agr yeh visa open ho jaye tu remittance maiN 3-5%izafa ho ga…
Bahrain walooN ka Saudi, Kuwait aur Qatar per koy Influence nahi hay.. Bahrain key economy bhi koy itni achi nahi hay, eak Aluminum smelter key industry aur eak Bitumen Industry iss kay illawa sab mangay tangay key sarkar hay…
On the other hand, Ghana maiN oil discovery howi hay, wahaaN per oil wealth nazar aana shoroo ho gayee hay, laws itnay rigid nahi haiN, wahaaN per PakistaniyooN ko enter hona chahiye, wahaaN per trade and business activities honi chahiyee… Bahrain Dobta Chaand aur Ghana Hilal-e-Noo hay…