**meri raaton ki tanhaiyon mein aap ho shaamil
in baarish ki boondo mein aapke aansu hai shaamil
ke tadpe to hoge aap bhi to mujhse bichadkar
in hawaon me hai aapki aanhein bhi shaamil
kaise kah paaoge aap jamane ko apni kahani
kaise bayan karoge apni bewafai ki dastaan
kyonki aapko bhi ye maaloom hai
ke meri duaon mein aaj bhi aap ho shaamil.**
Barish Thi , Hum Thay Aor Ghani Ho Rahi Thi Shaam Tum Nay Liya Tha Kamptay Honton Say Mera Naam Mein Nay Kaha Tha " Aoo Yunhi Bheegtay Chalayein In Rastoo’n Mein Dayr Talak Ghomtay RAhayein Meri Qamar Mein Haath Yeh Phoolo’n Sa Daal kar Kandhay Pay Meray Rakhay Rahoo Yunhi Apna Sir
**Hathoon Ko Mein Kabhi , Kabhi Baloon Ko choom Lon **
**Dekho Meri Taraf Tu Mein Ankhoon Ko Choom Lon ** Pani K Yeh Jo Phool Hein Rukh Par Khilay Huway In Mein Dhanak Kay Rang Hein Saray Ghulay Huway Hontoon Say In Ko Chuntay Rahayein Khushdili K Saath Taray Humein Talash Karayein , Chandni K Saath
**Yunhi Kisi Darakht Kay Neechay Kharay Rahayein ** Barish Kay Dayr Baad Bhi Liptay Kharay Rahayein " Tum Nay Kaha Tha ," Aoo Chalayein, Raat Aaa Gayi
**Dil Jis Say DAr Raha Tha , Wohi Baat A Gayi ** Beetay Samay Ki Yaad Hi Rastoo’n Mein Reh na Jayay Yeh Dil Kahin Wisaal Ki Barish Mein Beh Na Jayay"
**Kuch Dayr Aik Chup Si Rahi Darmyan Mein ** Girhayein Si Jaisay Parnay Lagi Hon Zuban Mein Tum Peechay Hatnay Walay thay, Janay K Wastay Ankhayein Jhuka Rahay Thay, churanay K WAstay Yuk Dum Gira Tha Phool Koi Shakhsaar Say Dekha Tha Tum Nay Meri Taraf Iztarar Say Barish Mein Bheegtay Huway Jhonkay Hawa K Thay
**Woh Chand Bay Gumaan Say Lamhay , Balaa K Thay ** ---------------------------------------- Shaaakh se haath chura ker Hawa ki baat mein aa ker Mein barish k maylay mein gaya Aur apnay aap se bicher gaya…
---------------------------------------- -----------------------------
**Main ne us say puchaa ** Kya dhoop main barish ho saktee hai ?