Re: Apny bakht ka likha …
**
Khawaboon ki is nagri main
Basta jo wo aik chehra hai
Main laiton jab bhi bistr per
Saagar sochon ka gehra hai
Wo door door tak nahi dikhta
Na jany kesa yeh pehra hai
Meri anhkain bahaati hain moti
Yeh shehar hai ya koi sehra hai
Meri aik aik har aik karwat pe
Teri yad ka parcham lehra hai
Tu kab aye ga o mery humdum
Soch mera waqt sab thehra hai**
- StrangeWorld