Apni ya kisi aur ki ankhoon pe shair likhyai

Re: Apni ya kisi aur ki ankhoon pe shair likhyai

Kabhi hum aap ko kuch shafz likhay daytay hain
kabhi aap hum ko kuch shafz likhay daytay hain

Mulaqaatain yuhi hoti rehti hain.
Humaray din yuhi barhtay rehtay hain.
Khush gawaar alam hay itna humaray darmaiyan.
Ke Jesay kissi ashaar-e-dawat mai ronat aaye.
Jesay roshni ko parwaana chahe.
Jesay kissi marz per dua kaam ker jaye.

Khuda na keray ke yeh waqt kabhi badal jaye.
khuchi ki jagah gham say nikaab uth jaye.
rungon ki tarah humari zindagi mai bikher jaye.
Khuda na keray ke yeh waqt kabhi badal jaye.

Ke dikhnay ko milay tumhari aankhon mai aansoo.
tumhain kissi bhi cheeze kay bais khushi na naseeb ho paye.
Khuda na keray ke yeh waqt kabhi badal jaye.