Re: ~~ Apni khushi se chor kar gaye ho tum ~~
Jab yaad meri aaye to rukna mat
meray paas laut aana
jab raat ka diya bujh jaaye
or kuchh saaf nazar naa aaye
to darna mat, meray paas laut aana
jab bin baadal barsaat ho jaaye
jab saans ki dori tootay
aur koi apna tumhain lootay
to maayus mat hona
meray paas laut aana
jab dil tumhara tootay
aur kisi ka saath tumsay chhootay
tumharay armaan bhi koi lootay
to aanso mat bahana
meray paas laut aana
apni khushi say chhor kay gaye ho tum
meray jazbaat, pyaar, aitabar
ko tor kay gaye ho tum
phir bhi meri yaad agar aaye
aur aankhain bhar aain
to sharminda mat hona
meray paas laut aana