Antaakshari IX

tU nahii.n to zindagii mai.n aur kyA rah jaayegaa dUr tak tanhaaiyo.n kA silasilaa rah jaayegaa
tU nahii.n to
dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase
sab dhuaa.N ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa
tU nahii.n to zindagii mai.n aur kyA rah jaayegaa
tU nahii.n to

yuu.n bhI hogaa vo mujhe dil se bhulaa degA magar (2)
ye bhI hogaa khud usii mai.n ek khalaa rah jaayegaa
tU nahii.n to zindagii mai.n aur kyA rah jaayegaa tU nahii.n to daayare inkaar ke ikaraar kii sarahoshiyaa.n
ye agar TuuTe kabhI to faasalaa rah jaayegaa tU nahii.n to zindagii mai.n aur kyA rah jaayegaa tU nahii.n to

tairay liyay hai
maira dil, mairee jaan
hotay hon tu hon
faaslay darmiyan.....

nainaaN barsay rim jhim rim jhim
piaa touray awan ki aAaAas

sar jo tera chakraye
ya dil dooba jaye
aaja pyare
paas hamare
kaahe ghabaraaye
kaahe ghabaraaye
Back ground 'maalish, ae maalish'
leader ho ya public, naukar ho ya maalik, apane age sabhi zuke hain, raja ho ya sainik,
sun sun sun, are baba sun, is champi mein bade bade gun
lakh dukhon ki ek dawa hain, kyu na aajamaye, kaahe ghabaray. kaahe ghabaraye..

Ey Ajnabi tou bhee kabhee Awaz day kaheen say
Main yahan tukroon main je raha hooon
To kaheen tukroon main jee rahi hai
Ey Ajnabi tou bhee kabhee awaz day kaheen say.

Yeh samaN
SamaN hai yeh pyar ka
Kissi ke intizaar kah

Dill na churaa lay kahiN mera
Mausam bahaar ka

Yeh saman
Saman hai yeh pyar ka


bass yaar, aise hi hai

allah he allah kiya kar
dukh na kisi ko diya karo
jo duniya a malik hai
nam usee ka liya karo
allah he allah

Next"hey or h"


SMILE YER ON CANDID CAMERA ;)

Hazaar raaheyN... murh key daikheeN
Magar kaheeN sey sadaa naa aayi

Bari wafaa sey...nibhaayi tuum ne
Hamari thori see baiwafaayee

next "ye"

Yeh larka hai Allah kesa hai dewana
kitna mushkil hai tuaba is ko samjhana
ke dheeray dheeray dil bekaraar hota hai
hotay hotay hotay pyaar hota hai
yeh larka hai Allah kesa hai dewana

Husn ko chand, jawani ko kanwal kehtay hain
Un ki soorat nazar ayay to ghazal kehtay hain

Uff woh marmar say tarasha hoa shafaf badan
Daikhnay walay oosay taaj mahal kehtay hain

Husn....

Woh tairay husn ki qeemat say naheen hain waqif
pankhari ko jo tairay lab ka badal kehtay hain

Husn....

Par gayee paoon main taqdeer ki zanjeer to kiya
Hum to oos ki bhee tairee zulf ka bal kehtay hain

Husn ko chand, jawani ko kanwal kehtay hain
Un ki soorat nazar ayay to ghazal kehtay hain

[This message has been edited by Rarediamonds & Gold (edited August 22, 2000).]

gonna start a new thread for this

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif