mazarat dar maqoolaat…mere Khayaal se jo insaanii qadreN musalmaanoN meN honii chaahiye thiiN [maa sivaaye unke jinkaa Aceones bhai ne zikr farmaayaa] vo, ba-sad afsos, kahnaa paR rahaa hai k vo tamaamtar qadreN angrezoN meN maujood haiN aur ham is besh-bahaa qadroN se maHroom rah gaye.
is nukta-e-nazar se ek angrez ek musalmaan se ba-darja-haa amalan bahtar hai…ai’taqaad kii durustgii kaa matlab hii hai Islam kii sahvan pairvee karnaa…unke liye Islam par iimaan laanaa bahot sahel hogaa!
gore rang kii 'azmat…hamaare yahaN [northern india] goraa rang authority kii nishaanii samjhii jaatii hai is liye goraa rang sabhii chaahte haiN k unke bachchoN kaa ho… lol!!!