Re: Ammi ki mohabbat
Main apni ammi ki baton per socha karti thi akhir kioon bayja ki pabundi, per kabhi unsay shikwa na kia aur na wo kaam kiaay jin say unhon nain mana kia. Us waqt (buchpun) intehai beja lugta tha laikin bar'ay hokar jaab saaray haalaat samajh aay to samjha kay kitna pyar karti thi aur kitna khiaal rakhti thi Ammi hamara.
Waqai maan ki mohabbat aur pyar ka naimul badal koi naheen.
Allah unko is ka ajar day aur unhain qabar aur dauzakh kay azab say bachaay. Ameen.