Re: “Alif” se shoro’at..
mujy yaad agae
EK BAR KAHO TUM MERE HO,PAR:nono: ![]()
Re: “Alif” se shoro’at..
mujy yaad agae
EK BAR KAHO TUM MERE HO,PAR:nono: ![]()
Re: “Alif” se shoro’at..
ose MSG kerna hi pare ga aj piton gi mi:hehe:
Re: “Alif” se shoro’at..
Re: “Alif” se shoro’at..
AA JAAO KEY AAB TO AANEY KEE GHARE HEY:aejaz: ![]()
DER SE AOGEY TO KAHOGE BURHI KHARE HEY:e6: ![]()
Re: "Alif" se shoro'at..
Abhi tak yaad hai us ki wajahat
mila tha jo mujy pichlay janam mein
Re: "Alif" se shoro'at..
Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams
Kitna pakeeza hai ehsas mein dhoya huwa lams
Re: "Alif" se shoro'at..
Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya
Re: "Alif" se shoro'at..
O des say aney waley bata
Kis haal mein hain yaran-e-watan?
Aawara-e-ghurbat ko bhi suna
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi watan mein waise hi
Sar-mast nazarey hotey hain?
Kiya ab bhi suhani raton ko
Wo chand sitarey hotey hain?
Hum khail jo khaila kartey they, kiya
Ab bhi wo sarey hotey hain?
O des say aney waley bata
Shadab shagufta pholon sey
Ma'moor hain gulzar ab k nahien?
Bazar mein malan lati hai
Pholon k gundhey haar ab k nahien?
Aur shouq sey totey partey hain
No-umr khareedar ab k nahien?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan waisi hi jawan
Aur madh bhari ratain hoti hain?
Kiya raat bhar ab bhi geeton ki
Aur piyar ki batain hoti hain?
Wo husn k jado chaltey hain
Wo ishq ki ghatain hoti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan k panghat per
Pinhariyan pani bharti hain?
Ungrai ka naqsha ban ban kar
Sab mathey pe gagar dharti hain?
Aur apney ghar ko jatey howe
Hansti hoi chehlain karti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi pahari ghatiyon mein
Ghanghor ghatain gonjti hain?
Sahil k ghanerey pairon mein
Barkha ki sadahien gonjti hain?
Jhengar k taraney jagtey hain
Morom ki sadahien gonjti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi
Barsat ka joban hota hai?
Phailey howe Pair ki shakhon mein
Jholon ka nasheman hota hai?
Umdey howe badal hotey hain
Chaya howa sawan hota hai?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan barsat k din
Baghon mein baharain ati hain?
Masoom o haseen do-shiza'ain
Barkha k taraney gati hain?
Aur tetariyon ki tarha sey rangeen
Jholon per lehrati hain?
O des say aney waley bata
Kiya pehli si hai masoom abhi
Wo madrasey ki shadab fiza?
Kuch bholey howe din guzrey hain
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi kisi k seeney mein
Baqi hai humari chah bata?
Kiya yad humain bhi karta hai ab
Yaron main koi Aah bata?
O des say aney waley bata
Lillah bata! Lillah bata!
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi fajar dam ch'rwahey
Rewar ko charaney jatey hain?
Aur sham k dhundhley sayon k
Ham-rah ghar ko atey hain?
Aur apni raseeli bansriyon
Mein ishq k naghmey gatey hain?
O des say aney waley bata
Akhir mein ye hasrat hai k bata
Wo gharat-e-eman kaisi hai?
Bachpan mein jo aafat dhati thi
Wo aafat-e-doran kaisi hai?
Hum dono thay jis k parwaney
Wo shama-e-shabistan kaisi hai?
O des say aney waley bata
Marjana tha jis ka naam bata
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hai?
Jis per thay fida tiflan-e-watan
Wo jan-e-watan kis haal mein hai?
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan
Wo seem badan kis haal mein hai?
O des say aney waley bata
Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan
Maikay mein hai ya susraal gai?
Do-sheeza hai ya aafat mein usay
Kam-bakht jawani daal gai?
Ghar per hi rahi ya ghar say gai
Khush haal rahi, khush haal gai?
O des say aney waley bata
(Poet: Akhtar Shirani)
Re: "Alif" se shoro'at..
Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karien kesey gavara Mohsin
Re: "Alif" se shoro'at..
Ek umr se Khamosh hain divar ki surat
Yeh bhi to muhabat mein hai izhar ki surat
Re: "Alif" se shoro'at..
Us ne jalati hui peshani pe jo hath rakha
Rouh tak aa gai taseer maseehai ki
Re: "Alif" se shoro'at..
O des say aney waley bata
Kis haal mein hain yaran-e-watan? Aawara-e-ghurbat ko bhi suna Kis rang mein hain kina'an-e-watan? Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi watan mein waise hi Sar-mast nazarey hotey hain? Kiya ab bhi suhani raton ko Wo chand sitarey hotey hain? Hum khail jo khaila kartey they, kiya Ab bhi wo sarey hotey hain?
O des say aney waley bata
Shadab shagufta pholon sey Ma'moor hain gulzar ab k nahien? Bazar mein malan lati hai Pholon k gundhey haar ab k nahien? Aur shouq sey totey partey hain No-umr khareedar ab k nahien?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan waisi hi jawan Aur madh bhari ratain hoti hain? Kiya raat bhar ab bhi geeton ki Aur piyar ki batain hoti hain? Wo husn k jado chaltey hain Wo ishq ki ghatain hoti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan k panghat per Pinhariyan pani bharti hain? Ungrai ka naqsha ban ban kar Sab mathey pe gagar dharti hain? Aur apney ghar ko jatey howe Hansti hoi chehlain karti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi pahari ghatiyon mein Ghanghor ghatain gonjti hain? Sahil k ghanerey pairon mein Barkha ki sadahien gonjti hain? Jhengar k taraney jagtey hain Morom ki sadahien gonjti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi Barsat ka joban hota hai? Phailey howe Pair ki shakhon mein Jholon ka nasheman hota hai? Umdey howe badal hotey hain Chaya howa sawan hota hai?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan barsat k din Baghon mein baharain ati hain? Masoom o haseen do-shiza'ain Barkha k taraney gati hain? Aur tetariyon ki tarha sey rangeen Jholon per lehrati hain?
O des say aney waley bata
Kiya pehli si hai masoom abhi Wo madrasey ki shadab fiza? Kuch bholey howe din guzrey hain Jis mein wo misal-e-khwab fiza! Wo khail, wo hum-sin, wo maidan Wo khwab gah-e-mehtab fiza?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi kisi k seeney mein Baqi hai humari chah bata? Kiya yad humain bhi karta hai ab Yaron main koi Aah bata? O des say aney waley bata Lillah bata! Lillah bata! O des say aney waley bata
Kiya ab bhi fajar dam ch'rwahey Rewar ko charaney jatey hain? Aur sham k dhundhley sayon k Ham-rah ghar ko atey hain? Aur apni raseeli bansriyon Mein ishq k naghmey gatey hain?
O des say aney waley bata
Akhir mein ye hasrat hai k bata Wo gharat-e-eman kaisi hai? Bachpan mein jo aafat dhati thi Wo aafat-e-doran kaisi hai? Hum dono thay jis k parwaney Wo shama-e-shabistan kaisi hai?
O des say aney waley bata
Marjana tha jis ka naam bata Wo ghuncha deh'n kis haal mein hai? Jis per thay fida tiflan-e-watan Wo jan-e-watan kis haal mein hai? Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan Wo seem badan kis haal mein hai?
O des say aney waley bata
Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan Maikay mein hai ya susraal gai? Do-sheeza hai ya aafat mein usay Kam-bakht jawani daal gai? Ghar per hi rahi ya ghar say gai Khush haal rahi, khush haal gai?
O des say aney waley bata
(Poet: Akhtar Shirani)
Isey kitaabi shakl meiN kiuN nahi chapwa detiN aap? :@:
Re: “Alif” se shoro’at..
Re: “Alif” se shoro’at..
Re: “Alif” se shoro’at..
Re: “Alif” se shoro’at..
Re: "Alif" se shoro'at..
**Achanak mil gaye tum dharkanoN ky shaher main warna
tumhari justajo main KHUDA jany hum kahan jaty**
Re: "Alif" se shoro'at..
**Aaj us ne meri muhabbat mein kisi ko shareek kiya tau ehsaas huwa Ya Rab
Ke tu shirk karne waloon ko kyon maaf nahe karta ...**
Re: "Alif" se shoro'at..
**Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa 'Saahil'
Tere hote huwe auroon ka mujhe dilaasa daina ...**
Re: "Alif" se shoro'at..
**
Un ki yaad se ghafil hon bhi tau kaise 'Mohsin'
Aankh khuli hai tau khayal un ka, aankh band hai tau khwaab un ka ...
**