Ajnabi shehr mein ajnabi raastay

Re: Ajnabi shehr mein ajnabi raastay

[QUOTE]
Originally posted by HeArT HaCKeR: *
*Ajnabi shehr k ajnabi raste
Meri tanhaai per muskaratay rahay
Mae bohat dair tuk yunhi chalta raha
Tum bohat dair tuk yaad aatay rahay
Zehr milta raha, zehr peetay rahay
Roz murte rahay, roz jeetay rahay
Zindagi bhee hamein aazmati rahi
Aur hum bhee usay aazmatay rahay
Zakhm jub bhee koi zehn-o-dil pe laga
Tu zindagi ki taraf aik dareecha khola
Hum bhee kissi saaz ki tarah hain
Choot khatay rahay aur gungunatay rahay
Kul kuch aisa howa mae bohat thuk gaya
Is liye sun k bhee un-suni kur gaya
Kai yadoon k bhutkay hoay karwa-n
Sakht haalat k taiz toofan mein
Gir gaya tha hamara Junoon-e-Wafa
Hum chiraagh-e-taman-na jalatay rahay
Wo chiraagh-e-taman-na bhujatay rahay
Ajnabi shehr k ajnabi raste
Meri tanhaai per muskaratay rahay
Mae bohat dair tuk yunhi chalta raha
Tum bohat dair tuk yaad aatay rahay

[/QUOTE]

dearest i was searching for this......

:k:…

Re: Re: Ajnabi shehr mein ajnabi raastay

[QUOTE]
*Originally posted by XremeLimits: *

dearest i was searching for this......
[/QUOTE]

chalein ap ko ab searh nahi kurna paray gi :)