Ajao Idher...Everyone Is Invited to a Bhangra

uff tum nay yeh kiss ki kasam day di
ab hum ko banna paray ga jedi
aankhoun peh chashmay laga keh dhounday gay
tumharay liye ghadi ki baby
jawan, khubsurat aur haseen hogi
tumhaare jaan, tumharee mehjabeen hogi
apni dum hila keh bulayay gi tumhain
khanay main danday khilaye gi tumhain
lohay ki chain galay main pehnaye gi tumhain
bahar sardi main sulaye gi tumhain
bala ki khoobsurat hai qurbaan jaoun
ussey dekhtay huwa toota tha mera paaoun
agar pasand aaya hai yeh guldasta,
packing karo, dikhaoun tumhay woh rasta.

:)