Lekin hota wohi hai jo rab chahta hai.. kabhi kabhar hum chah kar bhi koi cheez koi taluq nahin pa sakte.. ye zaroor hai ke insaan ko wohi milta hai jis ki wo koshish karta hai
QURAN MAJEED mein hai k insan ko wohi kuch milta hai jitni us ne koshish ki
Magar insan ko Dua aur koshish ka bhi to hukum dia Gaya hai, Kiya iska matlab yeh hai ke Banda yeh soch ke Allah muej yeh cheez Nahi de Sakta? Nauzbillah.
ye maine kab kaha.. mera matlab kabhi kuch na mile to uss se taluq nahin toRna chahiye.. kiyunke wo janta hai ke hamare haq main kia acha uar kia bura hai
lekin uski taraf ek qadam shayad wo na ho jise hum ek qadam samajhte hon.. Insaan 10% kar ke samajhta hai usne 100% kar lia, phir usse shikwa hota hai ke aage se jawab nahin aaya
jo jawab Ki umeed pe knock karte iska matlab hai unho ne 1% bhi koshish Nahi Ki, insan ko knock karna chahiye, ab yeh Uski marzi hai ke jawab deta hai ya Nahi kabhi kabhi sari zindagi jawab Nahi ata aur marne ke bad sare darwaze us bande ke liye open ho jatay hain.
Wese yeh raah hai bohot aazmaisho wali insan chakki Mai attay Ki tarah peesta hai.
ye maine kab kaha.. mera matlab kabhi kuch na mile to uss se taluq nahin toRna chahiye.. kiyunke wo janta hai ke hamare haq main kia acha uar kia bura hai
Han mayoos tou insan ko kisi haal Mai Nahi houna chahiye, shayed yehi se insan se zaraf Ki aazmiash hoti hai ke kon mayoos houta hai to kon Dua aur sabar pe qayam rehta hai.