Re: After Swat falling to Taliban, it is now Punjab’s turn
Kaash wo sachay Aashiq-e-Rasool, sachay Musalmaan, Momin, Seerat-un-Nabi kay pairo-kaar, Hadees-e-Nabavi kay mannay waalay, Quran par amall karnay waalay … aur Insaniat say mohabbat, shafqat aur un par reham karnay waalay hotay to aaj ham bhi sar utha kar kehtay k haan ham Muslamaan hain …
Aashiq-e-Rasool :saw: bano, sab theek hojaiga … Reham karo insanon par, dil bara karh, dimagh ko kholo, aur discover the universe and work for humanity and be a human … piaar say, naram lehjay main insanon say baat karo, zulam na karo, sakht na bano, zalim na bano, zulm ko piaar say khatam karo … yehi Islam hay … phir daikho wo jo tum ko dehshat gard kehtay hain wo tum ko apnay kandhon par bithaingay …