Re: AEK GHAZAL...
men tu maqtal men bhi qismat ka sikandar nikla
qura-e-fal mery naam ka aksar nikla.......
tha jinhen zeam,wo darya bhi mujhy lay dobay
men k sehra nazar aata tha samandar nikla....
meny ess jan-e-baharaan ko buhut yaad kiya
jab koi phool meri shakh-e-hunar say nikla...
sheher walon ki muhabbat ka qail hon men..,
meny jis haath ko choma,wo hi khanjar nikla!
(ahmad faraz)
Salaam
behtareen ghazal ahmed faraaz ki
share karnay k liyay shukriya
aik sher issi ghazal ka kuchh yuN bhi hai
Tuu tabhi haar gaya tha meray buzdil dushman
mujh say tanha k muqabil tera lashkar nikla
shukriyaa