- Abhi kuch din laggaiN gey Dil Aisay shehr kay paamaal ho jaanay kaa manzar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey jahaan-e-Rung kay saaray Khus-O-Khaashaak, sub suroo-O-Sanobar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey Thakay haaray huvay khwaabouN kay saahil par, kaheeN ummeed kaa choTa saa ik ghar bantay bantay reh gaya hay woh ik ghar bhoolnay maiN, Abhi kuch din laggaiN gey
magar abb din hee kitnay reh gaye haiN Buss, ik din Dil kee Loh-e-Muntazir par Achaanak Raat utray gee meri baynoor AankhouN kay khazaanay maiN chuppay har khwaab kee takmeel kar day gee :-) Mujhay bhee khwaab maiN tabdeel kar day gee:) Ik aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheeN thaa Aik aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak maiN koie Mubarak koie roshan din naheeN thaa Abhi kuch din laggaiN gey
-- Iftikhar Arif
:p