ab tou ankhon

Re: ab tou ankhon

Demo aap dikha dain :D

Re: ab tou ankhon

aap likhain, hum ikhatay us pay nazar saaani kar lain gay....

Re: ab tou ankhon

agar likhna mere bus ka hota tou aap se demo dikhane ko na kehti :(

Re: ab tou ankhon

abb mujhay kaisay maloom ho ga k aap k zehan may kis cheez k mutalik kiya jazbaat hain...kiya mehsoos karti hai..

Re: ab tou ankhon

Tou aap apne jazbaat ka demo dikhaiye

Re: ab tou ankhon

tu aap chahhti hain k may zakhmo ko kuredon...

Re: ab tou ankhon

:bummer:

Re: ab tou ankhon

may tu zakhmoo ko kureedta rehta hoon…aap shayad yaqeen na karain lakin tanhaye may in ko kureed kar jo lazat milti hai woo naqablay bayan hai…

Re: ab tou ankhon

Tou aap khud agay nai barhna chahte jo kuredte hain ?

Re: ab tou ankhon

ghum ko sehnay may bhi qudrat nay maza rakha hai...

Re: ab tou ankhon

So you like being sad.

Re: ab tou ankhon

zindagi may aap hisab k mazmoon ki tarhan x = y nahi kar saktay...

Re: ab tou ankhon

Apko purane zakhm kuredne mai bhi maza ata hai..ghum sehne mai bhi maza ata hai…
Tou aur kya samjhon ? :hmmm:

Re: ab tou ankhon

samjhnay k liyay tu pori dunia mojood hai, yahan tu ghoor kiya jaye tu insan apni bhi aik sans nahi samjh sakta or hum dosron ko samjhnay or parakhnay ki kosish may lagay rehtay hain…

Re: ab tou ankhon

Itna tou samajh gaye hoon k aap lafzon k khel mai mahir hain :p

Re: ab tou ankhon

alfaz or zindagi khelnay k liyay he hotay hain.....faraq sirf itna hai k alfaz say hum kheltay hain or zindagi say koi or...

Re: ab tou ankhon

Zindagi tamasha hai ?

Re: ab tou ankhon

Shakespeare tu yehi kehta hai...kabhi zindagi may tamashay rang bhartay hain tu kabhi zindagi khud tamasha ban jati hai....aap kiya kehti hain

Re: ab tou ankhon

Mai bhi isey aik tamasha he samajhti hoon

Re: ab tou ankhon

Bazicha-e-itfaal hai dunia mere aage...
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage...

ik khel hai orang-e-suliman meray nazdeek...
ik baat hai ijaz-e-maseeha meray agay...