Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

shukar aap ko mare baat to samaj aai ...

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ???

agar na aati to kia hota? aap ghalib ki tarha sher parh kar dua kartay?

ya rab na wo samjhay hain na samjhain gay meri baat
day aur dil un ko, jo na day mujh ko zubaan aur..

:clown:

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

wah ...

galib ka andaz ai bayan or he tha
jeet le aap nay mehfil ... wasay is thread main ap ko batana hai K aap ko aaj ghusa q aaya

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ???

bataya to tha janab

http://www.paklinks.com/gs/gupshup-cafe/399715-aaj-kiss-baat-par-gussa-aaya-1429.html#post9658541

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

jee aap bhe takleef farmain na !!

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

khaksaar nay he to takleef farmai thi... phir say mulaheza ho..

saara din kion nahi aata hamain ghussa aakhir
bus yahi soch kay phir raat ko ghussa aaya..

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

aap ka illag intehai zurure ho gaya hai . main aik hakeem ka pata btaun ?

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ???

No gussa as usually.. ALHAMDULILLAH :shoaby:

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

:p

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ???

^ iska kya matlab lein hum ??? :konfused:

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

^ matlab nahi aya naa chira rahi hun mae :p

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

wah, ilaaj par kia khoob sher yaad aaya..

wo dilnawaz hay lekin sukhan shanaas nahi
mera ilaaj meray chara gar kay paas nahi

:(

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

bhai main charagar nae hun !! kia ho gaya U KO

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ???

Bhai main nay aap ko chara gar kaha bhi nahi… ye to younhe ek shair tha… her baat apnay ooper lenay ki nahi horahi.. aisa na ho k aap ko ghussa aa jaye .. mujhay na qabristan janay ki jaldi hay na haspataal janay ka shoq… :teary1:

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

my Lady Hen didn't lay any eggs today...i'm starving! :(

Kuch ***** Logon pe Aya :mad:

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ???

:eek: are kia likh diyaa k “auto-censor” ho gayaa! :smiley:

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

bachon se kaha ke uniform ko change kar ke ghar ke kapde pehen lo ghanton aise hi ghoom rahe the

phir homework Karne ko kaha to wo bhi Nahin karna tha.

Allah reham Kare ! don't know what to do with them

Re: Aaj Kiss Baat Par Gussa Aaya ??????

DanDaa uThaayeN magar maareN nahiiN...ham, min-Hais-ul-qaum, laTakte huye DanDe se bahot Darte haiN...DanDaa paR jaaye to ham be-hiss ho jaate haiN aur phir maaraa kareN koii farq nahiiN paRtaa. :)

Kuch nahi likha tha kudhi Daale the Taare :naraz: