Aaj ki taaza khabar — Ladies Win...

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

I am late :frowning:
phone call :hinna:

naheeN hai naumeed Iqbal apni kasht-e-weeraaN saY
zaraa namm ho tau yeh mitti baRRi zarkhez hai saaqi

By: Allama Iqbal

“ye”

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

yaad karney ke siwa ab kar bhi kya saktey hain bhool janey mein tujhey nakaam ho janey ke baad

daal

PS
4|1

:nuch:

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

DeeN haath saY day kar agar aazaad ho millat
hai aisee tijaarat maiN musalmaaN kaa khasara

By: Allama Iqbal
"Alif"

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

isi quraan mai hai ab tarq-e-jahan ki taleem
jis nay momin ko banaya mah-o-paree'n ka ameen

Alama Iqbal

Noon

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

Naa thaa kuch tau khudaa thaa, kuch naa hotaa tau Khudaa hotaa
Daboyaa mujh ko honaY naY, naa hotaa maiN tau kiyaa hotaa

By: Ghalib

“Alif”

It’s my bed time… I won’t be able to continue except for few more posts… I see sonia_jee logging in so we are again going to give you 2 more points as our leader must be sleeping and Amal is not seen as usual :slight_smile:

I tried :teary1: kay muqaablaa tau iss dil-e-naa tawaaN naY khoob kiyaa

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

is ka matlab hai …aap maan rahay hain kay hum winners hain …Thanks Alot …:slight_smile:
bas ab to mukabla khatam ker dena chaheay :hoonh: ???

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

jee haaN muqaabla organizer aur leader dono hee naheeN haiN.. laikin muqaabla tau 7 din pooraY karaY gaa.... buss yeh kaY it was mostly 3 vs 1 .... maiN akela becharaa 24 ghanTay tau naheeN jaag saktaa naa :)

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

aww AQ tap on his shoulder
dont worry about muqabla go have some rest :flower1:

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1


isi kashmakash mai guzri meri zindagi ki ratain
kabhi sozd-o- saz roomi kabhi paich-o-taab razi

Alama Iqbal

ye

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

yeh sure have some rest AQ …we feel sorry for u :teary3: …aap kay sath to zulam ho raha hai :frowning:

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

chaltaY chaltaY:

Yeh Misra' likh diyaa kiss shokh naY Mehraab-e-Masjid par
Yeh naadaaN Gir gaye sajdoN maiN, jub waqt-e-qayaam aayaa

BY: Allama Iqbal
"Alif"

Allah Hafiz :)

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

Brilliant:)

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

Allah Hafiz...............

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

Ab talaab hi nahin rahee koi
Dil say aisee talab guzaree hai


"yee"

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

yaar ko raGbat-e-aGyaar naa hone paaye
gul-e-tar ko havaz-e-Khaar naa hone paaye
baaG kii sair ko jaate to ho par yaad rahe
sabzaa begaanaa hai do-chaar naa hone paaye

"Ye"

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

10mins baad aa jaatay app Leader jee...................:)

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

Yaa Mujhay Waasl Ataa kar Malik
Ya meraa hijr mukammal kar day


"yee"

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

ta kay aap ko ayk aur point mil jata? kafi afsoos ho raha ho ga mayray "in time " a jaanay pur :D saari umeedon pur paani phir giya . chullo kisi bahany tu afsoos hova :p

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

ye aish-o-tarab ke matavaale bekaar kii baate.n karate hai.n
paayal ke Gamo.n kaa ilm nahii.n jha.nkaar kii baate.n karate hai.n

"NooN"

Re: Ladies & Gentlemen ― 3|1

kisi ko dukh day ker khush nahi hotay :(
bure baat hotee hai