Aaj ki taaza khabar — Ladies Win...

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2


woh mujhe dhoond rahay hain koi unse keh day
saal-ha-saal usse hogae afsaana banay

ye

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

ye kare.n yaa vo kare.n aisaa kare.n vaisaa kare.n
zindagii do din kii hai do din me.n ham kyaa kyaa kare.n

:)

"NooN"

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2


nahin mumkin us ko pana tu phir us say kyun milain ham
karain justugu bhi kyun ham is soch main paray hain

Noon

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

**
Nahi zindagi ke falsafey meiN sab saaNs leney sey muttasil
jab dil ki dunya hi lut gai to tumhey sar bacha ke kya mila!
**

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2


a'a dekh mujh say ruuthanay vaalay teray bagair
din bhii guzar gayaa meri shab bhii guzar gaye

ye

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

Yeh daagh saa jo teraY seenaY maiN hai numaayaaN **
**Aashiq hai tu kissi kaa, yeh daagh-e-aarzu hai?

BY: Allama Iqbal
"?" errr I mean "ye" :D

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

ye chand asmaa’n ka shair ka dil hai goya
wa chandni hai jo kuch, yaha dard ki kasak hai
andaz-e-guftagoo nay dhokay diye hain warna
nagma hai boye bulbull bo phool ki chehak hai

Alama Iqbal
hamy bhi atay hai iqbal kay shair
:mocking:

ye

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

Yeh kaarwaan-e-hasti hai tez gaam aisaa
QoumaiN kuchal gayee haiN, jiss kee rawaa ravi maiN

BY: Allama Iqbal
"Noon"

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2


na poch mujh say lazat khamaa'n barbaad rahnay ki
nash-e-mun senkroo'n mane bana kar phoonk dalay hain
nahi begangi achi rafeeq rah-e-manzil say
tahar ja aye shar! hum bhi to akhir mitnay walay hain

Alama Iqbal

Noon

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

Naik nay naik, bud naY bud jaanaa mujhaY
Jiss maiN jitna zarf thaa, utnaa pehchaanaa mujhay

comment edited :)

"ye"

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

Bhai kab end hoga aap ka aik week !

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

kaun jeet raha hai koi mujhe bhi bata do ? ? ? ? ? ?

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

I am back shab, if u wana take rest. i just now came home, i thought it was only aqeeqa but they arrange a mehfil of Naat too.

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

Yay raaz samjh main kab aata, aankhoon ki nami say samjha hoon
Is gard - o - ghubar ki duniya main her cheez say sacha pani hai

** "Yay"**

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

*Ye dekhna kiran kis taraf sey guzrey gi
khuley huwey heiN darichey bhi meri aaNkheiN bhi
*

"Ye"

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

Yay sakoot – e – yaas yay dil ki ragoon ka tootna
Khamshi main kuch shakiest–e–saaz ki batain keroo

"Wao"

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

*WafaaoN ki rasm qasmoN ki mohtaaj nahi hoti
jo iqraar kar leta hey wo nibhaaya nahi karta
jo chaaho to mil lo ke abhi dastars meiN hooN
meiN waqt ki tarhaaN laot kar aaya nahi karta
*

"Alif"
By: Amal

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2


Ab FARAZ apnay maseeha say umeed na rakh
woh tang-dil hai aur teray zakham main hai gheraee bohat

tay

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

ok shab ap aa gai hain:) mai nto yahan post kernay aai thi shair. ab L&G ap k hawalay. main bed per chali nenoo kernay :)

Allah hafiz

Re: Ladies & Gentlemen ― 5|2

acha sheal sojao ap
sweet dreams :flower1: