Here Is One For You Sannan Bhai … This Is Wasi Shah`s Writeups check Out This
Samandar maiN uttar’ta hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN
teri aankhoN ko parhtaa hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN
Tumhara naam lekhnay ki ijaazat chhen ga’ee jab say
koi bhi lafz lekhta hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN
Teri yaadoN ki khushbu khirk’yo maiN raqs karti hai
tere gham maiN sulgta hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN