Re: Aaj bhi shehr main pagal dil ko
aaj bhi tapti dhoop ka sehra
teray naram labon ki shabnam
saaye se mehroom raha
aaj bhi pathar hijr ka lamha sadyon se bekhawab rutoon ki
aankhon ka mahfhoom raha
aaj bhi apnay wasal ka tara
raakh urata shokh shafq ki manzil se madoom raha
aaj bhi shehar main pagal dil ko
teray deed ki aas rahi
mudat se gum sum tanhai,aaj bhi meray pass rahi
aaj bhi sham udas rahi…