Re: aaj aey dil lab-o-ruKhsaar ki baate.n hi sahi
aaj aey dil lab-o-ruKhsaar ki baate.n hi sahi
vaqt kaT jaayega kuch pyar ki baate.n hi sahi
yuu.N to kaT'ti hi rahegi Gham-e-doraN me.n hayaat aaj ki raat Gham-e-yaar ki baate.n hi sahi
ye bhi kya kam hai unhe.n qurbat-e-gul to hai nasiib aaj gul ki na sahi Khaar ki baate.n hi sahi
ye to tay hai k jiye jaaye.nge har haal me.n hum un k lab par rasan-o-daar ki baate.n hi sahi
Nice post:)