Humari thread mein aanay ka aur welcome kernay ka bohat shukriya. Abhi sey Allah Hafiz na kaheye kiyon key I'm sure Aap humein yehan kaafi dekhtay raheingay :)
Wessay aapkey waalid sahab ka sh'air bohat zaberdast hai!
**
alHamdolillah, maiN bhii ab Kahiriyat o aafiiyat huN. are nahiiN ji, meraa matlab hamesha ke liye Allah Haafiz kahne aka nahiiN thaa...sirf waqti taur par ya'nii agli mulaaqaat tak ke liye...:) so, here we are again :)vaalid marHoom kaa she'r pasand karne ke liye beHad shukria. un buzurqoN ke kalaa ab to hamaare liye tabarrukaat hii haiN so unheN zinda rakhne ke liye unke kalaam ko taaza karte rahte haiN. thank you**
Zaberdast aur shukriya Allah ko mera Haafiz bananay ka..bhala Unsey behter Haafiz koon ho sakta hai :)
Buzurgon key qalaam humeysha hayaat rakhna to waqai sahi maenon mein aqalmandi ka kaam hai :) ..Muger agar aap burra na manaein to mein yeh bhi kehna chahoongi key humarey buzurg sirf apnay qalaam hi mein nahi, balkey humarey apnay andar bhi humeysha mujood aur hayaat rehtay hain..especially when it's someone like your father; he'll always be a part of you and, thus, be with you, no matter what. :)

bilkul sahi kahaa u ne Haya. Allah se baRh kar hamaaraa muHaafiz kaun ho saktaa hai.
ji, bilkul sahi ek baar phir kahaa. vo hamaarii rooHoN emn saraayat haiN vo hamaare aage peechhe uupar neeche daayeN baayeN hote haiN jismani na sahi to kia huaa. unkaa Khayaal to sadaa hii saath hai. aisa koi din nahiiN guzarta jab maan abap kaa Khayaal na aaye. :)**
Yep, khoob jamegi! Balkey hum to jam hi jaeingay..Someone should remember to bring a khurchi!
Loogon, aap sab sey aaj baat ker key bohat acha laga muger ab hum chal ker apna paper likhtay hain werna humari university humarey kaan khench khench ker humein Jumbo bana dey gi. For now, Allah Hafizzzzzz!