well time has come for us to act: otherwise naam-onishaan bhi baaqi naa rahe gaa
**
ab naye saal kii mohalat nahiin milne vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaaboun vaale **
**
ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaaN bolte hain
ab kahaaN log muhabbat ke nisaaboun vaale **
[dashnaa=dagger]
**
zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hain
faaKhtaaoun ke bhii kirdaar uqaaboun vaale **
(na jaane ham uqaab kab banein gai...ya kahin aisa tu nahin k "zinda rehne" kii khawahish hi nahin rahe ham logon mein.)
**
na mere zaKhm khile hain na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahiin ab ke gulaaboun vaale**