Mere Qaatil Mere Dildaar
tum mere paas raho
meray qaatil mere dildaar
mere paas raho
jis ghaRi raat chlay
aasmanoN ka luhooo pii kay
siyaah raat chalay
marham-e-mushk liye
nishtar-e-almaas liye
bain karti hui
hansti hui
gaati nkilay
dard kay kaasni paa-zeb bajaati niklay
jis ghaRi seenoN meiN Doobay hue dil
aasteenoN meiN nihaaN
haathoN ki rah taknay lageN
aas liye
aur bachoN kay bilaqne ki tarha
qulqul-e-may
behr-e-nasoodgi machlay to manaaye na manay
jab koi baat banaaye na banay
jab na koi baat chalay
jis ghaRi raat chalay
jis ghaRi maatami sunsaan siyaah raat chalay
paas raho
mere qaatil mere dildaar
mere paas raho
Faiz Ahmed Faiz