Re: 16 December 1971, the darkest day in History of Pakistan
masha Allah, subHaan Allah…yaqeenan Allah MiyaaN kii den hai tabhii to arz kiyaa k aap Maulana Azad se bhii kuchh zaayad zaheen lagte haiN…masha Allah. ![]()
maulana ko sharaabii kahne se pahle zaraa soch hii liyaa hotaa k agar yeh baat saHeeH na huii to is meN aapkii pakaR hogii na. afsos huaa k aap aise logoN par keechaR uchaalte haiN jise aap Khud maante haiN k vo ek 'azeem insaan aur mazhabii peshvaa the.
you said “he was indeed a great scholar” and “you have benefited from his work to a great deal”…yet you put him down by saying that he said GENERIC things in his speech…bahot Khoob!
ustaad agar bachchoN se istifaada na Haasil kare to vo shaagirdoN kii zihaanat kaa miraasi kiu ho…right?
aap to Panasonic kii commercial waali baat kar rahe haiN k:
**“i’m slightly ahead of my time!” **![]()
lolz…i’m talking about a huge segment of society which isn’t as lucky as your are…un bechaaroN kaa to koii pursaan-e-Haal nahiiN hai…vo zinda dar gor haiN…na jeete haiN, na marte haiN. sad! ![]()